Bahut dino ke baad kahin se phir main guzra...
Dekha sab kuch waisa hi tha...pahle jaisa....
Ye tassali gar tune di hoti... to behtar hota...
Tuesday, July 8, 2008
Monday, April 14, 2008
Triveni
Wo aag jo ishq ki iss seene mein jal rahi thi
Bujhne lagi hai, raakh se dhuaan uthTaa hai
Wo aa jaaye gar hawaa ki tarah, shayad phir sulag jaaye...
Bujhne lagi hai, raakh se dhuaan uthTaa hai
Wo aa jaaye gar hawaa ki tarah, shayad phir sulag jaaye...
Friday, April 11, 2008
Koshish
Bas koshish karta hoon wo karne ki..
Jiski kabhi koshish nahi thi...
Saans lene ki, Jeene ki
Kisi ko mahsoos karne ki
Apne aas-paas
Udne ki, Aasmaan chhune ki...
Be-rok-tok, bindaas...
Koshishein hii to kaamyaab hoti hain...
Aa Bhi Jao...
Aa bhi jao,
bolo kab aaoge?
jab niklegi jaan
kya tab aaoge?
nahi aaoge tum,
yakin hai mujhko
par itna karna,
jaise giraya tumne
nazar se mujhko
yaad karke mujhe
unhi aankhon se
giraa dena kabhi
ek aansoo bhi...
Subscribe to:
Posts (Atom)